How to Check My Zong Number 2022

How to Check My Zong Number
how to find my zong number



How to Check My Zong Number

zong sim ka number kaisay maloom karen ?

agar aap zong sim istemaal karne walay hain aur aap kisi wajah se apna mobile number bhool gaye hain to pareshan nahi hon. –apne mobile phone ka pata lagana koi mushkil kaam nahi hai kyunkay aisa karne ke bohat se aasaan tareeqay hain. yeh mazmoon aap ko –apne zong number ko check karne ke baray mein tafseeli rahnumai faraham kere ga .


bohat dafaa aisa hota hai ke aap apna zong sim band kar ke rakh dete hain magar jab wapas istemaal ke liye uthate hain to aap ko apna number yaad nahi rehta. to mein aap ko kuch aisay tareeqay bitanay wala hon ke jin ko istemaal karte hue aap –apne zong ka number bohat hi aasani se jaan satke hain .

apne zong sim ka number jan-nay ke mukhtalif tareeqay !


mandarja zail chay tareeqon se hum –apne zong ka number jaan satke hain

number 1 : Dial pad yani call ke zariye se .

  1. apne mobile mein diler khole jaisay hum call ke le istemaal karte hain
  2. apne zong sim se Dial karen * 8 #
  3. is se yeh hoga ke apke number se aik msg send hojaye ga
  4. thori hi dair baad aap ka number aap ke screen per namodaar ho jaye ga
  5. is saaray process ke koi charges nahi
  6. uskay ilawaa aap * 2 # Dial kar ke bhi apna number maloom kar satke hain
  7. is ke baad aap apna number –apne pas likh kar mehfooz kar len taa ke dobara pareshani ka samnaa nah karna parre .

number 2 : USSD code ke zariye se bhi maloom kar satke hain .

  1. bilkul pehlay waley tareeqay ki terhan –apne Dial pad se * 100 # Dial karen .
  2. yeh aap ke mobile se aik USSD code send kar dega .
  3. aur kuch hi der baad aap ke mobile screen aapka number namodaar hojaye ga .

number 3 : SMS ke zariye se apna zong number maloom kere

  1. sab se pehlay msg mein ja kar naya msg type kere
  2. naye msg mein likhain MNP aur 667 par send kar day
  3. is ke baad 667 se aik msg mosul hoga jis mein apke number samait deegar malomt yani jis ke naam par sim registered hogi us ka naam id card number hoga .


number 4 : zong official Website ke zariye

  1. sab se pehlay zong ke official web page par jaye
  2. web page ke nichley seedhay haath walay konay mein live chat par click karen.
  3. uskay baad aap numainday ko matlooba maloomat yani apke shanakhti card number aur imsi number jo ke aap ke sim ke peechay darj hota hai faraham karkay nmayindah aapko aap ka number bta dega .


number 5 : zong help line ke zariye

  1. apni zong sim se 310 Dial karkay shuruvaat karen .
  2. numainday se baat karne ke liye Hadayat par amal karen .
  3. zong ke numainday ke pouchye gaye tamam sawalaat ke jawabaat den. yeh sawalaat aap ki zong sm se mutaliq hon ge jaisay ke CNIC number jis ke tehat yeh registered hai .
  4. is ke baad numainda aap ko aap ke zong number ke baray mein mutala kere ga .
  5. usay likh kar mehfooz kar len ya mustaqbil ke hawalay ke liye apna number yaad rakhen .



number 6 : phone ke zariye

  1. baaz dafaa apke sm mein hi aapka number mehfooz huwa hota hain to us se bhi aap pata laga satke hain.
  2. is ke liye sab se pehlay aap apne mobile ke settings mein jaye .
  3. aasakay baad about phone par tape kere .
  4. uskay baad sim status par tape kere wohi par aap ko apna number mil jaye ga .


barah karam note karen ke yeh tarteeb aap ke istemaal kardah phone ki qisam aur model ke lehaaz se mukhtalif hoti hai .

Post a Comment

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post

ads

Responsive Advertisement

ads

Responsive Advertisement