online earning in Pakistan 2022 in Urdu full details |
internet se paisay kaisay kamaye jatay hain ? online earning in Pakistan , ya online paisay kamanay ke tareeqay , online earning in Pakistan without investment , online earning websites in pakistan !
yeh sawalaat aaj kal bohat ziada aam ho gaye hai mujhe –apne halqa ahbaab mein in jaise kayi salawon ka saamna karna parhta hai ke aaya aisa koi tareeqa hai jis se ghar baithy baithy paisay kama satke hain ?
to is ka jawab bilkul haan hai aur mujhe nahi lagta ke aaj ke is jadeed daur mein kisi ko yeh ilm nah ho ke online kamaai kaisay ki ja sakti hain kyunkay aaj har shakhs ke paas aik smart phone mojood hai aur jab smart phone mojood ho to phir internet ka hona bhi laazmi hain aur jab internet ho to phir bhala kaisay koi you tube ya Facebook jaisay mashhoor Website ko istemaal kiye baghair reh sakta hain .
magar yahan kuch logon ke zehnon mein internet se paisay kamanay ke mutaliq kuch allag hi ta-assur paaya jata hain jaisa ke online paisay kamaana bohat hi aasaan ho ya kuch hi click par bandah hazaron dollar kama sakta ho waghera waghera. uski ahem wajah hamaray haan kuch fraud log jinhon ne internet se paisay kamanay ka jhansa day kr buoot saaray logon ko bewaqoof bana lena apna kaarobar bana liya hai aur logon bhi khushi khushi bewaqoof ban jatay hain kyunkay unkay lagta hain jo kaam hamein diya gaya hai yeh to bohat aasaan hai aur is se to mein ghar baithy baithy hi likh patti ban jaoon ga magar aisa bilkul nahi hain .
kyunkay internet se paisay kamaana bhi itna hi mushkil hain jitna ke aam zindagi mein kamaana mushkil hai aur yahan aik baat aap logon ko batata chaloon ke har woh kaam jo dosray ka hunar ho woh bohat aasaan nazar aata hain magar jab koi bandah khud is kaam ko karne ka tajurbah kar laita hain to tab hi is shakhs ko is kaam ke khatan honay ka andaza ho jata hain is mein mojood mushkilat se aashna ho jata hain .
number 1 : woh log jin ka khud internet se bas itna hi talluq hota hain ke unkay ishtiharaat ya woh khud kisi tareeqay se aap se rabita kar ke aap ko online earning ka jhansa day kar –apne mukhtalif packages ke baray mein batatay hain yani ke agar aap itnay paison ka package khareed letay hain to aap ko itnay ishtiharaat milein ge jin par aap ne bas sirf click karna hain aur aap ke account mein paisay atay rahen ge aur aap yaqeen dilanay ke liye baaz auqaat aap ko kuch payment bhi kar dete hain aur aa’indaa ke liye aap unkay mazeed shikaar honay walay logon ke liye aik saboot bhi ban jatay hain yani aap ko di hui raqam ke kuch proof woh logon ko batatay hain ke daikhon kaisay is bande sirf ishtiharaat dekhnay se hi itnay paisay kama liye hain .
note : un fradyon mein aksar ne khud khbi internet se koi paisay nahi kamaye hotay .
number 2 : woh log jo khud to internet se achay khasay paisay kama rahen hotay hain magar sirf –apne faiday ke liye aap ko kuch aisay Websites ya application ke baray mein batatay rehtay hain ke jis se aap laakh koshish kar ke bhi aan lawn paisay nahi kama satke .
misaal k tor par kuch youtuber aap ko baar baar kisi na kisi application ya Website ke baray mein bta rahen hunge ke is ko join kar lo aur itnay paisay kamao yeh application download karo aur malaa maal ho jao, ya video dihkne ke baad aap din ke 10 dollar rozana kama sakte hain waghera waghera, yeh sab bhi aik terhan se aap ke sath fraud hi kar rahen hotay hain kyunkay jaisa mein ne pehlay hi keh diya tha ke internet se paisay kamaana utna hi mushkil hain ke jitna ke aam zindagi mein aur mushkil honay ke sath sath aap ke paas hunar bhi hona zaroori hain aur yeh hunar un youtubers ke paas hain ke aap ko aik terhan se bewaqoof bana kar aap se apna faida letay rehtay hain .
is se pehlay ke mein aap logon ko internet se paisay kamanay ke chand aasaan tareeqay batau mein samjhta hon ke aap logon ko yeh janna zaroori hain ke darasal woh fraud log kon hain jin ki wajah se hum apna waqt aur paisa barbaad kar dete hain .
to sawal yeh peda hota hain ke kaisay koi aasani se internet se paisay kama sakta hain ?
yaqeenan agar aap internet se wabasgi rakhtay hain to ho sakta hain ke aap ko mandarja zail kamon ke baray mai nah sirf maloomat ho balkay aap un par kaam bhi kar chuke ho magar phir bhi un tamam shobo ko yahan batana mera farz bantaa hain ke agar aik fresh aur talented banda apne liye koi aasaan kaam talaash karna chaah raha hain to woh un mein se koi aik kaam shuru kar ke –apne liye online paisay kama sakay .
sab se pehlay number par free lancer !
agar aap acha likh satke hain, graphic designer hain, web development jantay hain, search engine optimization ya social media marketing ka kaam kar satke hain ya video / audio editing mein mahaarat rakhtay hain to free lancing aap ke liye behtareen career ho sakta hai. in technical kamon ke ilawa aam aisay kaam jo ba aasani internet par ghar baithy baithy ho satke hain aur un ke liye kahin jane ki zaroorat nahi padtee in kamo mein mahaarat hi aap ko free lancing ke zariye behtareen kamaai day sakti hai. is waqt poori duniya Bashmole Pakistan mein be shumaar afraad free lancing ke zariye kamaai kar rahay hain .
free lancing ke kuch mashhoor Websites free lancer , fiver, pph, up work jahan aap apna account bana kar apna kaam shuru kar satke hain .
affiliate marketing !
affiliate marketing ke zariye aap kisi dosray ke products ko online sale kar ke commission haasil kar satke hain magar is ke liye bhi aap ko mehnat ke sath sath tajurbay aur kuch parha likha hona zaroori hain ya phir agar aap parhay likhay na bhi ho magar mashhoor ho to tab hi aap is kaam se aasani se paisay kama satke hain .
daraz aur amazon un mashhoor Websites mein se hain ke jis mein aap kisi aur ke products ko sale kar ke achi khasi kamaai kar satke hain .
aur akhir mein sab se aasaan aur muaser tareeqay jin ke baray mein aaj kal har koi jaanta hain .
bloging aur youtube
bloging ko agar aasaan kaha jaye to bhi sahi aur mushkil kahiye to bhi sahi uski wajah yeh hai ke jab koi internet se paisay kamanay ki sochta hain to shuru mein har kisi ke paas itnay paisay nahi hotay ke us ko kharch kar ke koi Website ya blog bana saken .
dosra yeh ke blogger aik aisa flat form hai jis ko istemaal karkay nah sirf aap aik free blog bana satke hain balkay is ko istemaal karte hue itni mushkil ka saamna nahi karna parta yani aap ko aik Website bananay ke liye jis terhan ka experts hona zaroori hai utna is mein nahi bas chand kuch aisi settings hain jis ko seekh kar aap apna aik khobsorat blog bana satke hain .
youtube videos ki SEO kaisay karte hain jan-nay ke liye yahan click karen
bloging mein mushkil yeh hota hai ke agar aap copy paste karte hain tab bhi aap ko kuch arsa sirf –apne kaam par hi dheyaan dena hoga kamaai ko bilkul bhool jana hoga aur jaisay jaisay aap ki blog logon mein mashhoor hogi waisay waisay aap ke paisay kamanay ke mawaqay barhatay jayengay phir aap Google adsence ke adds laga ker kamana chahay ya kisi bhi dosray advertisement Websites ke ishtiharaat laga kar kama sakt hain .
aur sab se aasaan tareeqa youtube !
woh is liye ke youtube se paisay kamanay ke liye bas aap ke paas agar aik smart phone hai to woh bhi kaafi hai isi smart phone ke zariye aap videos bana kar uplaod bhi kar satke hai aur achay se –apne videos ki SEO bhi kar satke hain .
youtube ne aaj ke dor mai bohat saaray aisay logon ko hero bana diya hain jin ko ab poori duniya janti hain isi liye youtube nah sirf aap ko kamaai dega balkay agar aap himmat aur mehnat karen to aap aik aam shakhsiyat se aik celebrity ban satke hain .
youtube par bas aap ne sirf videos uplaod karni hain aisi videos jo logon ko mutwajjah karen magar shart yeh hogi ke woh videos aap ne khud hi banai ho is mein jitna bhi mawaad mojood ho woh sab aap ka apna ho, agar aap ke zehen mein sawal aa raha hain ke kayi saaray log kisi ki audio video thod maror kar bhi achi khasi kamaai kar rahay hain to aap ka sawal bilkul baja hain magar is ke liye bhi hunar ki zaroorat hai aur yeh sab kuch aap tab hi seekh satke hain jab aap aik baar youtube se munsalik ho jaye aur is par kaam karna shuru kar day .
umeed hain aap ko Internet se paise kamney tariqey samjh aa gai hongey kisi kisam ka sawal ho tu comment box main zaror poche ya mujhe whatsapp kere shukriya!
Post a Comment